Thursday 16 June 2011

Kitni ajeeb hai zindagi

Kitni ajeeb hai zindagi-
Kahan se kahan le aati hai.
Hum dor pakadte hain kas ke..
Phir bhi haathon se phisal jaati hai.

Woh khwabon main doobe din
Woh jaagti raaten..
Woh umeedein, woh manzilein..
Ghuma-phira ke mil to jaati hain.

Sab kuch hota hai aas-paas,
Saare raaste manzilon se jude-jude
Phir kyon meri nazar se dekhi zindagi
Dhundli- dhundli nazar aati hai?

Hum-raaz, hum-khayal, hum-safar raahon ke
Kab hum-zubaan, hum-kadam, hum-safar se nahin lagte..
Khaali jharokon se dekhte hain hum ..
To bas apni parchayiyon ka sayaa nazar aata hai.

Itni ajeeb kyon hai zindagi?
Kyon apne aur apnon ke raastey juda ho jaate hain?
Kahan se laayen ab woh dil ka sakoon..
Jiski chaah main saari zindagi nikal jaati hai.





1 comment:

  1. I could relate to myself, the beauti of this is that it first connect you in present, takes you back in past and reconnect to present with clueless hope..for future. Once again, beautifuly captured, kitni ajeeb hai zindagi ke moments..

    ReplyDelete