Tuesday, 13 March 2012

Awaaz dil se aayi hai--

Aawaaz dil se aayi hai, hawaaon main bikhar gayi hai phir,
Shor unn pannon ka hai jo jhonkon main machal jaatey hain.
Ik sawaal hai dil ki gehraaiyon main chupa,
Bas? Khushiyon aur tamanaaon ki itni hi umr thi aakhir?

Nazm chidti hai abhi bhi iss dil ke viraanon main,
Dabe-dabe se mere labz kahin kho jaatey hain..
Haath badhtey hain kuch anpayee tamannaaon ki taraf-
Chehre pe mere phir vahi rangat aa jaati hai umeedon ki.

Aakhir kya hai jo pakad main aata hi nahin..
Ye main hi hoon?- Ya koi parchaain hai meri?
Darr sa lagne laga hai ab waqt ki rusvaaiyon ka mujhe-
Apnon ka, ya unka jinhen dil ne apna maana tha kabhi,

Tujhse kuch aur hai jo maanga tha maine,ai zindagi,
Kuch aadha-adhoora sa , jo bas mujhe bhi mehsoos sa hai.
Kya umeed karoon main tujhse, tere numaayendon se bhala-
Jab aaina khud meri nazron se dhundla-dhundla sa nazar aata hai...

Rusva na hona iss raftaar se mujhse,
Abhi jazbaaton ki raakh main kuch jaan baaki hai.
Kuch geet hain, kuch taraaney hain dabey,
Poochti hoon main hawaaon se, kya ab bhi kuch madadgaar baaki hain?







No comments:

Post a Comment